Translate

Friday, August 19, 2011

bhrast+aachar


hamare yahan ka neta bhot khaata he,
election   ke  samay  vote  khata  he;
fir  bhot  sare  hare  note  khata  he,
islliye sabhi swiss bank me khata he.

har aadmi yahan govt. ki job chahta he,
kyonki money under table jo aate he;
govt. ki job me lagte to he kai log,
lekin kon yahan kaam karne ko jaaata he.

iss samay mahengai bhot badh gai he,
govt.  ki  izzat  utni  hi  niche  gai  he;
kabhi ramdev tamacha lagaata he,
to kabhi anna laat marne aata he.

na jaane kon pm-cm ban jaata he,
har bar galat banda hi kyon chunata he:
jab koi bolta he bhrastachar ke virudh,
jail me use turant pahonchaya jata he.

"ali" jab bhrastachar ko mitane ki baat hoti he,
pura   desh  ek  indian  team   hoti   he,
netaon  ko   milti  he beer with chicken ,
aam  aadmi  ke  liye  sirf  daal- roti  he.


                                                                                             aliasgar devjani

No comments:

Post a Comment